Kehte hai udaan bharne ka haq sab ko hota hai...
Toh fir ladkiyo ke liye yeh rule apply kyu nhi hota hai....
Apne dreams ko chod ke padhai pe dhyan do yahi sunna hota hai....
Aree science ka zamana hai arts se toh bs sharminda hona hota haii...
Lekin kehte hai udaan bharne ka haq sab ko hota hai...
Suna hai aj kal ke ess yug me betiyon ka zamana hota hai....
Toh kyu unhe naukri bahar krne se roka jata hai....
Chlo agr kahin chali bhi jaye toh PG wale ka no. tak lena hota hai....
Beti ya behen der se na laute unko yeh keh k ana hota hau....
Lekin fir bhi kehte suna hai freedom ka haq sab ko hota hai....
Talent dikhaane me sabse upar ek lady ko hi rkhna hota hai....
Indira Gandhi jesiyo ko best pardan manrti bhi bnna hota hai....
Kiren Bedi jaisi hazaar afsaro se itehas bhara hota hai....
Fir bhi bachiyo ko apna talent chod chup chap baithna padta hai.....
Par kehte hai udaan bharne ka haq sabko hota hai....
Main puchti hu yeh kaisa smaaj ka nyaaye masoomiyat ke liye hota hai....
Ghar ki izzat bni rahe isiliye unko apna career shuru hone se pehle hi khtam karna hota hai....
Har kangan ko apne sapne chod sab ki khushi ka kaam krna hota hai...
Lekin kehte suna hai khawaab bunane ka haq sab ko hota hai....
Nice deear
ReplyDeletethank you for the feedback
DeleteTrue👏
ReplyDeletethnkiu ... stay in touch for more articles
Delete💯 💯
ReplyDeletethnkiu for feedback
Delete👍👍
ReplyDeletethnkiu stay in touch
DeleteGood
ReplyDeletethnkiu for feedback
Delete