Ancient Solution To Health Problems

Sunday, April 12, 2020

Beti Ki Awaaz


Best Poetry and Shayari

Jiski ungli pakad kar chalna seekhte hai kyu usi ka haath chodna padta hai....

Yeh kaisi reet bnaayi hai khuda nee
Jiske aangan me kadam badana seekhte hai usi ko alvida kehna pdta hai...
Babul ki duaayee saath le kee kisi praaye kaa haath thaam kar
Zindagi bhar chalnaa padta hai.....


Jiski ungli pakad kar chalna seekhte hai kyu usi ka haath chodna padta hai....

Apni maa se sanskaar seekh kar kisi aur ka ghar bharnaa padta hai.....
kyu apne se pehle kisi aur ke khane peene ka dhayaan rakhna padta hai...
Agr koi chuk ho jayee toh harzana bhi hume hi bharna padtaa hai.... 


ek beti

Jiski ungli pakad kar chalna seekhte hai kyu usi ka haath chodna padta hai....

Kehte hai log sab kuch betiyo ko hi seekhna padtaa hai....
Main puchti hu kyu ladkiyo ko yeh sab torcher sehna padta hai.....
Unko apne ghar ka adress tak bdlna padta hai.....
Kyu unko apne khwaab pure krne k liye kisi aur ka sahaara lena padta hai.....
Jiski ungli pakad kar chalna seekhte hai kyu usi ka haath chodna padta hai....
Kehte hai  saat phero ke saath apna career chodna padta hai....
Lekin bahuye aaj kal yeh bhul gyi hai ke saasu maa ko bhi maa bnanaa padta hai....
Aur apna naya sansaar apne hi pariwaar k saath rangeen bnana padta haii.... 
Haan jiski ungli pkad kar chlna seekhte hai usi ka haath chodna pdta hai....

Ek beti paraya dhan hoti hai... Kyu yeh sab bachpan se hi sunana padta hai....
Kyu ek behen ko bhai ki kalai me rakhii bandhne ke liye kisi aur ke saath apne mayke ana pdta hai....
Har kangan ko bulane ke liye rakshbandhan pe invitation dena padta hai....

Kyu jiski ungli pkad kar chlna seekhte hai usika haath chodna padta hai...

12 comments:

Rating


Bliss Of Nature
Ratings Bless of nature

Rated 5.0/5
based on 121 customer reviews

Followers

Popular Posts

About

Bliss of Nature is the ancient solution to all health problems.Bliss of nature is that happiness that can be gained from ayurveda.Ayurveda is the historic roots in the indian subcontinent. It is developed more than 3,000 years ago in India.Ayurveda's belief that health and beauty depend on a soft balance between the mind, body and spirit.

Categories

Copyright © Bliss of Nature | Powered by Blogger
Design by Viva Themes | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com